Share it on :

Sunday 31 March 2013

Apni Galtiyon Ka Doshi Insaan Khud Hota Hai

Jo jaisa bota hai wo waisa hi pata hai.
Ek bewafa ko dusra bewafa hi milta hai.
Tabhi to kehte hain,
Apni galtiyon ka doshi insaan khud hota hai. 

Kisi ki buraiyan chupaye nahi chupti,
Galat baat kabhi dabaye nahi dabti.
Buri aadato ke bojh ke niche insaan barbad ho jata hai.
Tabhi to kehte hain,
Apni galtiyon ka doshi insaan khud hota hai.

Ek galat kadam kisi ki zindagi tabah ker dete hain,
Uske jivan ki khushiyon ko gam mein badal dete hain.
Badnaami ka laga daag kabhi koi mit nahi sakta hai.
Tabhi to kehte hain,
Apni galtiyon ka doshi insaan khud hota hai.
"Apni galtiyon ka doshi insaan khud hota hai"















No comments:

Post a Comment

More Poem

For More Poem Please Click On "Older Post"